I was watching ZMND on cable TV sometime back and the poems from the movie just struck a cord with me. The depth of emotion conveyed in those few lines added an extra layer of meaningfulness to the movie and made it that much more better to watch.
I liked the poems so much that I wrote them down during the repeat telecast and would like to share them with people around me. The poems alone are worth the price of the movie ticket.
Brilliantly written Javed Akhtar Sahab and amazingly told by Farhan Akhtar. His voice and the intonations led a right amount of emotion into each line. Stupendous.
Watch the Video...
Text from the Poems.
Poem 1 - Apne Hone Par Mujhko Yaqeen Aa Gaya
Pighle neelam sa behta ye sama, neeli neeli si khamoshiyan,
na kahin hai zameen na kahin aasmaan, sarsaraati hui tehniyaan pattiyaan,
keh raheen hai bas ek tum ho yahan, bas main hoon,
meri saansein hain aur meri dhadkanein,
aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan, aur main… sirf main.
Apne hone par mujhko yakeen aa gaya. <-- This line sums up my feelings
Poem 2 - Yeh Jaane Kaisa Raaz Hai
Ik baat honton tak hai jo aayi nahin, Bas ankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi; Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai, Ahsas hi ahsas hai
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti, Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai, Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahin
Yeh jaane kaisa raaz hai
Poem 3 - Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai
Jab jab dard ka baadal chaya, Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya, Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya,
Dil aakhir tu kyun rota hai, Duniya mein yunhi hota hai
Yeh jo gehre sannate hain, Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa, Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai, Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai
Poem 4 - Toh Zinda Ho Tum
Dilon me tum apni betabiyan leke chal rahe ho,to zinda ho tum
Nazar me khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho,to zinda ho tum
Hawa ke jhokon ke jaise aazad rehna seekho
Tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho
Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Har ek pal ek naya sama dekhe nigahein
Jo apni aankhon mein hairanian leke chal rahe ho, toh zinda ho tum
Dilon mein tum apni betabian leke chal rahe ho, toh zinda ho tum

Comments
Post a Comment